0
0
0Dear Student,
Nahi, Tagore College of Education, Port Blair ya kisi bhi college ya university jo India mein situated hai waha par B.Ed course after 12th nahi kar sakte. B.Ed course mein admission lene ke liye graduation degree complete hona mandatory hai. Aap kisi bhi subject mein graduation kar sakte hai aur minimum 50% marks laane par aur recognised university se degree hone par aap admission ke liye eligible honge. 12th k baad aap integrated B.Ed course pursue kar sakte hain jaise ki BA B.Ed, B.Sc B.Ed etc. Ek ache B.Ed college mein admission lene ke liye aapko koi bhi relevant national, state ya university level ka B.Ed entrance exams qualify karna hoga jese UP B.Ed JEE, CG Pre B.Ed, AP EDCET, TS EDCET, Rajasthan PTET etc. Apko B.Ed course mein direct admission bhi mil sakta hai graduation ke last qualifying examination ke marks ke basis par.
0
0
012th ka roll number kese dhundhe
Mujhe 10th ka roll nambar nikalna hai
Government College of Education Narnaul mein arts wale students ki maximum fees kitne hai?
Pyq of chemistry 12 Maharashtra board